SBS ke Do Saal!

Wo IB mess ki thaali,
Wo kaku fruit stall waali,
Wo choti si aankhen aur badese sapne,
Wo SBS ke do saal apne;

Wo banned orkut and free wifi,
Wo compulsory helmet,
Wo cafeteria ki chai;

Wo Daange Chowk tak ka shared auto,
Wo hostel ke gate ke saamne ki pyaari si group photo;

Wo Bala Sir ke permanent 3 Ds,
Wo Balle Balle ki sikanji and parathe with double cheese;

Wo SBS ki trademark corporate clap,
Wo lunch ke samay ki sweet short and much needed power nap;

Wo library se dher saari books uthaana,
Aur phir unhe  hamesha bina padhe hi with fine lautanaa;

Wo expensive items at navrang,
Wo roz 9 baje pahuchne ki jung;

Wo B-Law ke boring lectures aur lengthy ppt,
Jinse aankhe khuli rakh ke sone ki kala humne seekhi;

Wo raj mess ka sandwich aur sizwaan rice,
Wo adlabs mein morning show jaana at half the price;

Wo 95 percent attendance ke liye kiye calculation,
Wo Reddy sir ke black and white- only text waale presentation;

Wo Bijju Sir ki dehshat,
Wo Drishti mein mehnat,
Wo Council ka khauf,
Wo gaano ka shuak;

Wo Ramashastri Sir ki news based teachings, Wo Prantosh Sir ki OHP sheets,
Wo choti moti masti, Aur maggie ki treats;

Deshpande Sir ne laaya marketing mein alpha, gama aur theeta,
Unki difficult case study par hamne hamesha maatha peeta;

Wo exams, wo results, wo crush ki baatein,
Wo hostel mein bina neend ki bitaayi hui raatein;

Wo blazer aur saari  ke saath placements ki taayari,
Wo recession ki aansu laa dene waali bimaari;

Saalon gujar gaye hum aaj bhi un dino ki baat karte hai, SBS aur doston hum tumhe yaad karte hai.

~Vinay Sarda
(vinsomequotes.wordpress.com)